ab tere lams ko yaad karne ka ek silsila aur diwana-pan rah gaya
tu kahin kho gaya aur pahlu mein teri shabahat liye ek badan rah gaya
wo sarapa tera wo tere KHal-o-KHad meri yaadon mein sab muntashir ho gae
lafz ki justuju mein larazta hua nim-wa sa faqat ek dahan rah gaya
harf ke harf se kya tazadat hain tu ne bhi kuchh kaha main ne bhi kuchh kaha
tere pahlu mein duniya simaTti gai mere hisse mein harf-e-suKHan rah gaya
tere jaane se mujh par ye uqda khula rang-o-KHushbu to bas teri miras the
ek hasrat saji rah gai gul-ba-gul ek matam chaman-dar-chaman rah gaya
ek be-nam KHwahish ki padash mein teri palken bhi baham piro di gain
ek wahshat ko sairab karte hue mein bhi aankhon mein le kar thakan rah gaya
arsa-e-KHwab se waqt maujud ke raste mein ganwa di gai guftugu
ek israr ki bebasi rah gai ek inkar ka bankpan rah gaya
tu sitaron ko apni jilau mein liye ja raha tha tujhe kya KHabar kya hua
ek tamanna dariche mein baiThi rahi ek bistar kahin be-shikan rah gaya
Ghazal
Ab tere lams ko yaad karne ka ek silsila aur diwana-pan rah gaya
Irfan Sattar