ab tere hijr mein yun umr basar hoti hai
sham hoti hai to ro ro ke sahar hoti hai
kyun sar-e-sham umidon ke diye bujhne lage
kitni viran teri rahguzar hoti hai
be-KHayali mein bhi phir un ka KHayal aata hai
wahi taswir mere pesh-e-nazar hoti hai
ye awadh hai ki jahan sham kabhi KHatm nahin
wo banaras hai jahan rose sahar hoti hai
apne barbaad nasheman ko bhula deta hun
jab sulagte hue gulshan pe nazar hoti hai
barq girti hai to KHirman ko jala jati hai
kab use mehnat-e-dahqan ki KHabar hoti hai
hae phulon ke muqaddar pe bhi dil rota hai
zindagi un ki bhi kanTon mein basar hoti hai
aariz-e-ghuncha-o-gul aur dahak uThte hain
ashk-e-shabnam mein bhi tasir-e-sharar hoti hai
main wo mahrum-e-mohabbat hun ki 'anwar' meri
jo dua hai wahi mahrum-e-asar hoti hai
Ghazal
Ab tere hijr mein yun umr basar hoti hai
Anwarul Hasan Anwar