ab tere liye hain na zamane ke liye hain
hum gosha-e-tanhai sajaane ke liye hain
matlab meri tahrir ka alfaz se mat puchh
alfaz to mafhum chhupane ke liye hain
han tere taghaful se pareshan hain hum bhi
ye tanz ke tewar to dikhane ke liye hain
tum samne ho phir bhi chale aae zaban par
wo git jo tanhai mein gane ke liye hain
KHat waqai kya KHub hai ek parda-nashin ka
alfaz ibarat ko chhupane ke liye hain
Ghazal
Ab tere liye hain na zamane ke liye hain
Shuja Khaavar