ab tere intizar ki aadat nahin rahi
pahle ki tarah goya mohabbat nahin rahi
zauq-e-nazar hamara baDha hai kuchh is tarah
tere jamal par bhi qanaat nahin rahi
furqat mein us ki rose hi hoti thi ek ghazal
ab shairi zariya-e-rahat nahin rahi
duniya ne tere gham se bhi begana kar diya
ab dil mein tere wasl ki chahat nahin rahi
kuchh hum bhi thak gae tere dar par khaDe khaDe
tum mein bhi pahle jaisi saKHawat nahin rahi
takte hain rose ek hi surat alam ki hum
yarab tere jahan mein bhi jiddat nahin rahi
Ghazal
Ab tere intizar ki aadat nahin rahi
Shaziya Akbar