ab tasawwur mein haram hai na sanam-KHana hai
main jahan par hun wahin yar ka kashana hai
justuju-e-haram-o-dair se begana hai
mera dil aap ki taswir ka diwana hai
ab na kabe mein jhukega na sanam-KHane mein
mera sar sar nahin sang-e-dar-e-jaanana hai
sab teri mast-nigahi ka karam hai saqi
rind jo bhi yahan hosh se begana hai
Ghazal
Ab tasawwur mein haram hai na sanam-KHana hai
Fana bulandshahri