ab talak haq nahin pacchane wah-wah
jaan ko apni na jaane wah-wah
tum jo karte ho faraz roza namaz
mahz aalam ko dikhane wah-wah
muft khoi umr dane ghans mein
phir kahate ho siyane wah-wah
mal-o-zar farzand ki rakh kar talab
ho rahe haq sun aghane wah-wah
haq ki KHilqat mein magar paida hue
tum mahz khane pakane wah-wah
khopaDi ulTi undhi ke hath sun
ainTh chalte ho utane wah-wah
hain yagane aqrban KHweshan sati
aap apne sun begane wah-wah
puchhte hain sab nafa nuqsan ko
sar diye paisa kamane wah-wah
aashiqan ko bolte hain ai 'alim'
KHalq duniya ke diwane wah-wah
Ghazal
Ab talak haq nahin pacchane wah-wah
Alimullah