ab tak to sare gham se mere be-KHabar mile
batlaun haal-e-dil jo koi chaaragar mile
lamhe husul-e-shauq ke bas is qadar mile
bhaTke hue ko rah mein jaise KHizar mile
un ke baghair kar na sake zindagi ba-KHair
ranj-o-alam ke sath to hum umr-bhar mile
dil tha kahin laga kahin aankhen bichhi huin
ye sare ehtimam teri rah par mile
karna hai taza phir mujhe afsana tur ka
ai kash meri un ki kahin par nazar mile
guzre hain aql-o-hosh-o-KHirad ki hudud se
hum hon kahin to tum ko hamari KHabar mile
'raazi' jhuke the husn-e-chaman par ki ek din
shiraaze gul ke bikhre hue KHak par mile
Ghazal
Ab tak to sare gham se mere be-KHabar mile
Khaleel Raazi