ab tak to kami kuchh na hui dagh-e-jigar mein
barson se charagh ek hi jalta raha ghar mein
zahir mein hanse wo magar aansu nikal aae
tha koi asar bhi mere marne ki KHabar mein
rang uDne na dunga teri taswir ke ruKH se
baqi abhi kuchh KHun ke KHatre hain jigar mein
tausi-e-KHayalat ki had mil nahin sakti
chhoTa sa bayaban nazar aa jata hai ghar mein
ab baDh nahin sakta gham-e-duniya ye KHushi hai
zaKHmon ki jagah tak nahin baqi hai jigar mein
in ankhDiyon ke surKH main Dore nahin bhula
ye bijliyan aisi hain jo ab tak hain nazar mein
na-waqif-e-anjam ka dil hota hai kitna
KHud ro diya dekhe jo kabhi zaKHm jigar mein
us daur mein aap aae the ai hazrat-e-'jawed'
jis ahd mein kuchh farq na tha aib-o-hunar mein
Ghazal
Ab tak to kami kuchh na hui dagh-e-jigar mein
Javed Lakhnvi