ab tak shikayaten hain dil-e-bad-nasib se
ek din kisi ko dekh liya tha qarib se
aksar ba-zom-e-tark-e-mohabbat KHuda gawah
guzra chala gaya hun dayar-e-habib se
dast-e-KHizan ne baDh ke wahin us ko chun liya
jo phul gir gaya nigah-e-andalib se
ahl-e-sukun se khel na ai mauj-e-imbisat
ek din ulajh ke dekh kisi gham-nasib se
na ahl-e-naz ko bhi mile fursat-e-niyaz
main dur haT gaya jo wo guzre qarib se
ye kis KHata pe ruTh gai chashm-e-iltifat
ye kab ka intiqam liya mujh gharib se
un ke baghair bhi hai wahi zindagi ka daur
haalat-e-zindagi hain magar kuchh ajib se
samjhe hue the husn-e-azal jis ko hum 'shakil'
apna hi aks-e-ruKH nazar aaya qarib se
Ghazal
Ab tak shikayaten hain dil-e-bad-nasib se
Shakeel Badayuni