ab tak jo ji chuka hun janam gin raha hun main 
duniya samajh rahi hai ki gham gin raha hun main 
matruk raste mein laga sang-e-mil hun 
bhaTke hue ke sidhe qadam gin raha hun main 
Table se gir ke raat ko TuTa hai ek gilas 
batti jala ke apni raqam gin raha hun main 
tadad jaanna hai ki kitne mare hain aaj 
jo chal nahin sake hain wo bam gin raha hun main 
main santari hun auraton ki jail ka huzur 
do-chaar qaidi is liye kam gin raha hun main 
'arish' surahi-dar si gardan ke sehr mein 
zamzam si guftugu ko bhi ram gin raha hun main
        Ghazal
Ab tak jo ji chuka hun janam gin raha hun main
Sarfraz Arish

