ab sochiye to dam-e-tamanna mein aa gae
diwar o dar ko chhoD ke sahra mein aa gae
taswir the jo awwalin sarshaariyon mein log
wo zaKHm ban ke chashm-e-tamanna mein aa gae
un se bhi puchhiye kabhi apni zamin ka karb
jo sahilon ko chhoD ke dariya mein aa gae
wahshat ne yun to KHub diya har qadam pe sath
lekin tere fareb-e-dil-ara mein aa gae
is anjuman mein anjum o zohra bhi the magar
hum shab-guzida sehr-e-surayya mein aa gae
Ghazal
Ab sochiye to dam-e-tamanna mein aa gae
Ahmad Azeem