ab shahr mein aqdar-kushi ek hunar hai
fan jurm hai mear-kushi ek hunar hai
dushman se to kya haq-e-adawat ka gila jab
yaron ke liye yar-kushi ek hunar hai
kya kya hai nadamat unhen ab apni rawish par
kahte the jo kirdar-kushi ek hunar hai
jis daur mein ho lafz ki hurmat ki tijarat
us daur mein afkar-kushi ek hunar hai
KHatir se jo karna paDi kaj-fahm ki taid
lagta tha ki inkar-kushi ek hunar hai
hairat hai ki wo fan ke parastar hain 'anjum'
jin ke liye fankar-kushi ek hunar hai
Ghazal
Ab shahr mein aqdar-kushi ek hunar hai
Anjum Khaleeq