ab shahr ki aur dasht ki hai ek kahani
har shaKHs hai pyasa ki mayassar nahin pani
main toD bhi sakta hun riwayat ki zanjir
main dahr ke har ek tamaddun ka hun bani
main ne teri taswir ko kya rang diye hain
andaz badal deta hai lafzon ke maani
ab bhi hai hawaon mein gae waqt ki aawaz
mahfuz hai sinon mein har ek yaad purani
main sab se alahada hun magar mujh mein hai sab kuchh
Thahra hua sahra ho ki dariya ki rawani
ek umr se in aankhon ne baadal nahin dekhe
dekhi na suni thi kabhi aisi bhi girani

Ghazal
Ab shahr ki aur dasht ki hai ek kahani
Saleem Shahid