ab se pahle wo meri zat pe tari to na tha
dil mein rahta tha magar KHun mein jari to na tha
nabz chalti hai to qadmon ki sada aati hai
is qadar zaKHm-e-judai kabhi kari to na tha
wo to baadal ka barasna hai anasir ka usul
warna ashkon ka namak aankh pe bhaari to na tha
dil mein khilte hain teri yaad ke eajaz se phul
is mein kuchh shaiba-e-baad-e-bahaari to na tha
ye bhi andar ka koi rog hai warna hum ko
umr-bhar hausla-e-nala-o-zari to na tha
Ghazal
Ab se pahle wo meri zat pe tari to na tha
Khursheed Rizvi