ab sarab ke chashme maujzan nahin hote
KHushk ho gae shayad tishnagi ke sab sote
nind mein bhi chadar ka itna pas hai tum ko
kuchh to panw phailao is tarah nahin sote
kaisi raat aai hai nind uD gai sab ki
manzilen thapakti hain qafile nahin sote
KHwab KHud haqiqat hain aankh khol kar dekho
kis ne kah diya tum se KHwab sach nahin hote
chaak ho gaya daman hath ho gae zaKHmi
ek dagh-e-ruswai aur kis tarah dhote
girya-o-tabassum to hain naqab chehron ke
aaine nahin hanste aaine nahin rote
Ghazal
Ab sarab ke chashme maujzan nahin hote
Ezaz Afzal