ab safar raat mein hi karte hain
log ab raushni se Darte hain
rah ke ek shahr-e-be-charagh mein hum
rose jite hain rose marte hain
yaad aate hain sare pas-e-manzar
naqsh mazi ke jab ubharte hain
zindagi yun bikhar gai jaise
TuT kar aaine bikharte hain
ghar ki bosidgi chhupane ko
rang diwar-o-dar mein bharte hain
apne ghar ke qarib se aksar
ajnabi bin ke hum guzarte hain
sham hoti hai ghar chalo 'ahsan'
sae diwar se utarte hain
Ghazal
Ab safar raat mein hi karte hain
Nawab Ahsan