اردو हिंदी
Ab safar ho to koi KHwab-numa le jae | Shaahi Shayari
ab safar ho to koi KHwab-numa le jae

Ghazal

Ab safar ho to koi KHwab-numa le jae

Razi Akhtar Shauq

;

ab safar ho to koi KHwab-numa le jae
koi aae mujhe palkon pe uTha le jae

KHud mein jhumun kabhi auron ke liye lahraun
is se pahle ki hawa mera diya le jae

hae wo aankh ki jo harf sujhati thi kabhi
ab sar-e-ku-e-ghazal kaun bula le jae

us ne chaha bhi to kis zarf se chaha mujh ko
jaise sine mein koi harf-e-dua le jae

zindagi bhar ka safar ho gai chahat teri
ab jahan tak tere qadmon ki sada le jae

dil ko dhaDka hai ki shamen hi bujhi thin pahle
ab ke aandhi mera KHema na uDa le jae

'shauq' dariyaon ka pindar nahin tum jaisa
ye jo biphre to bhara shahr baha le jae