اردو हिंदी
Ab rawani se hai najat mujhe | Shaahi Shayari
ab rawani se hai najat mujhe

Ghazal

Ab rawani se hai najat mujhe

Vikas Sharma Raaz

;

ab rawani se hai najat mujhe
munjamid kar gai wo raat mujhe

sab guman rah gae dhare ke dhare
ho gaya e'tibar-e-zat mujhe

main adam ki panah-gah mein hun
chhu bhi sakti nahin hayat mujhe

zara bhi ehtijaj kar na saka
le gaya saya apne sat mujhe

mujh se naraaz chal rahe hain harf
ghurte hain qalam dawat mujhe

sochta hun ki khel se haT jaun
barha mil rahi hai mat mujhe