اردو हिंदी
Ab rahe ya na rahe koi malal-e-duniya | Shaahi Shayari
ab rahe ya na rahe koi malal-e-duniya

Ghazal

Ab rahe ya na rahe koi malal-e-duniya

Mahtab Haider Naqvi

;

ab rahe ya na rahe koi malal-e-duniya
khinchti hai mera dil chashm-e-ghazal-e-duniya

lo utarti hai badan se mere KHaki poshak
lo hua jata hun main sarf-e-kamal-e-duniya

miT rahe hain mere andar ke sabhi naqsh-o-nigar
ban rahe hain mere bahar KHad-o-KHal-e-duniya

tere chehre ka fusun bhi nazar aae to kahin
koi aaina dikhata hai jamal-e-duniya

bas yahi naKHl-e-hawas hai jo rahega sarsabz
tera iqbaal siwa taza nihaal-e-duniya

main bhi hairan mera dil bhi pashiman sa hai
jism ke hath hua jab se visal-e-duniya