اردو हिंदी
Ab raha kya hai jo ab aae hain aane wale | Shaahi Shayari
ab raha kya hai jo ab aae hain aane wale

Ghazal

Ab raha kya hai jo ab aae hain aane wale

Bismil Azimabadi

;

ab raha kya hai jo ab aae hain aane wale
jaan par khel chuke jaan se jaane wale

ye na samjhe the ki ye din bhi hain aane wale
ungliyan hum pe uThaenge uThane wale

kaun samjhae na iThla ke sar-e-rah chaliye
hain ye andaz gunahgar banane wale

puchhne tak ko na aaya koi allah allah
thak gae panw ki zanjir bajaane wale

kahin rona na paDe tujh ko zamane ke sath
are o waqt ki jhankar par gane wale

aap andaz-e-nazar apna badalte hi nahin
aur bure bante hain bechaare zamane wale

puchhti hai dar-o-diwar se bimar ki aankh
ab kahan hain wo mere naz uThane wale

ba-KHuda bhul gae apni musibat 'bismil'
yaad jab aae mohammad ke gharane wale