ab qais hai koi na koi aabla-pa hai
dil aaTh pahar apni haden DhunD raha hai
ehsas ki wadi mein koi saut na surat
ye manzil-e-irfan tak aane ka sila hai
zaKHmon ke bayaban mein koi phul na patthar
yaadon ke jazire mein na but hain na KHuda hai
ek KHak ke paikar ka tamasha hai saDak par
har shaKHs yahan qahr ki taswir bana hai
miTTi ke gharaunde mein sitaron ke diye hain
aangan mein andhera na ujala na hawa hai
ab anjuman-e-shauq mein shamen na patinge
ab marg-e-musalsal ki saza hai na jaza hai
chashmon ko shikayat hai ki shoalon mein ghire hain
sahra ko ye dukh hai ki paDa sukh raha hai
ab naKHl-e-rah-e-shauq na sae na manazil
ab aabru-e-ishq na sauda na wafa hai
ab panw musafir hain nafas marhala-e-zist
ab waqt ke hathon pe na KHun hai na hina hai
KHun-rang shafaq-rang KHizan-rang hain chehre
jismon pe kafan hai na koi surKH qaba hai
suraj ko hatheli pe lakiron ki tamanna
ab chand ki thaali mein kiran hai na diya hai
ab dasht ke sine pe faqat aag bichhi hai
ab naqsh-e-kaf-e-pa hai na ab bang-e-dara hai
har aankh chalati hui tashkik ke neze
har zehn tajassus ki rida oDh chuka hai
alfaz ke chehre se ayan shan-e-KHamoshi
honTon pe sawalat ka ek jal bichha hai
kyun sham ko bahon mein ulajhne ki hawas hai
kyun subh ki palkon mein koi KHwab chhupa hai
kyun raat ke mathe pe chamakte hain nagine
kyun din ke rag-o-pai mein koi hashr bapa hai
mashriq ke darichon se ghuTan jhank rahi hai
maghrib ki fazaon mein dhuan phail chuka hai
aashob-e-nazar ho ki tamannaon ke nashtar
har tasht mein zaKHmon ka ek ambar laga hai
mandir ke gajar KHak par ab chup se paDe hain
masjid ke manaron ka sira TuT chuka hai
diwar bhi diwar se aazad nahin hai
mauhum KHalaon mein bhi zindan-e-hawa hai
suqraat tah-e-KHak yahi soch raha hai
ab zahr faqat pyas bujhane ki dawa hai
ab najd ke sahra mein na kanTe na sadaen
ab qais hai koi na koi aabla-pa hai
yun raat jab aai hai to rukna hi paDa hai
dast-e-tah-e-sang-amada paiman-e-wafa hai
majburi o dawa-e-giraftari-e-ulfat
har ahd mein tahzib ne ye Dhong racha hai
Ghazal
Ab qais hai koi na koi aabla-pa hai
Shamim Hanafi