ab qabile ki riwayat hai bikharne wali
har nazar KHud mein koi shahr hai bharne wali
KHush-gumani ye hui sukh gaya jab dariya
ret se ab meri kashti hai ubharne wali
KHushbuon ke nae jhonke hain har ek dhaDkan mein
kaun si rut hai mere dil mein Thaharne wali
kuchh parinde hain magan mausami parwazon mein
ek aandhi hai par-o-baal katarne wali
hum bhi ab sikh gae sabz pasine ki zaban
sang-zaron ki jabinen hain sanwarne wali
tez dhun par the sabhi raqs mein kyun kar sunte
chand lamhon mein balaen thin utarne wali
bas usi waqt kai jwala-mukhi phuT paDe
motiyon se meri har naw thi bharne wali
Dhak liya chand ke chehre ko siyah baadal ne
chandni thi mere aangan mein utarne wali
dafatan TuT paDe chand bagule 'amabar'
KHushbuen thin meri basti se guzarne wali
Ghazal
Ab qabile ki riwayat hai bikharne wali
Ambar Bahraichi