ab pasar aae hain rishton pe kuhase kitne
ab jo ghurbat mein hai nani to nawase kitne
choT khae hue lamhon ka sitam hai ki use
ruh ke chehre pe dikhte hain muhanse kitne
sach ke qasbe pe miyan jhuT ki sardari hai
ab aTakte hain labon par hi KHulase kitne
the bahut KHas jo sar tan ke chalte the yahan
ab isi shahr mein waqif hain ana se kitne
ab bhi andar mere dil hai jo dhaDakta hai miyan
warna bazar mein bikte hain dilase kitne
mosla-dhaar barasti meri aankhen sab chup
us ki aankhon mein nami hai to hain pyase kitne
Ghazal
Ab pasar aae hain rishton pe kuhase kitne
Navneet Sharma