ab nind kahan aaankhon mein shoala sa bhara hai
ye tapte hue honTon ko takne ki saza hai
aashob jahan-guzaran ne ye kiya hai
is daur ka har fard-o-bashar aabla-pa hai
ai shabnam-e-giryan tujhe is ka bhi pata hai
kaliyon ka tabassum bhi bahut dard-numa hai
har ahl-e-hawas zinat-e-KHalwat-kada-e-naz
har ahl-e-wafa aaj sar-e-dar khaDa hai
ek nur-e-mujassam ke parastar hain 'aKHtar'
hum kah nahin sakte hain wo but hai ki KHuda hai
Ghazal
Ab nind kahan aaankhon mein shoala sa bhara hai
Wakil Akhtar