اردو हिंदी
Ab nibhani hi paDegi dosti jaisi bhi hai | Shaahi Shayari
ab nibhani hi paDegi dosti jaisi bhi hai

Ghazal

Ab nibhani hi paDegi dosti jaisi bhi hai

Shahzad Ahmad

;

ab nibhani hi paDegi dosti jaisi bhi hai
aap jaise bhi hain niyyat aap ki jaisi bhi hai

khul chuki hain us ke ghar ki khiDkiyan mere liye
ruKH meri jaanib rahega be-ruKHi jaisi bhi hai

choTiyan chhu kar guzarte hain baraste kyun nahin
baadalon ki ek surat aadmi jaisi bhi hai

ajnabi shahron mein tujh ko DhunDhta hun jis tarah
ek gali har shahr mein teri gali jaisi bhi hai

aaj ke dukh hi bahut hain bim-e-farda kis liye
kaT hi jaegi aziyyat ki ghaDi jaisi bhi hai

dhundla dhundla hi sahi rasta dikhai to diya
aaj ka din hai ghanimat raushni jaisi bhi hai

jhulti hai mere dil mein ek shaKH us peD ki
wo tar-o-taza hai ya sukhi hui jaisi bhi hai

main ne dekha hai falak ko jagte sote hue
meri aankhon tak to aai chandni jaisi bhi hai

ab kahan le jaen sanson ki sulagti aag ko
zindagi hai zindagi achchhi buri jaisi bhi hai

koi mausam ho meri KHushbu rahe is phul mein
dastan meri kahi ya an-kahi jaisi bhi hai

apna haq 'shahzad' hum chhinenge mangenge nahin
rahm ki talib nahin be-chaargi jaisi bhi hai