ab nahin dard chhupane ka qarina mujh mein
kya karun bas gaya ek shaKHs anokha mujh mein
us ki aankhen mujhe mahsur kiye rakhti hain
wo jo ek shaKHs hai muddat se saf-ara mujh mein
apni miTTi se rahi aisi rifaqat mujh ko
phailta jata hai ek ret ka sahra mujh mein
mere chehre pe agar karb ke aasar nahin
ye na samho ki nahin koi tamanna mujh mein
main kinare pe khaDa hun to koi baat nahin
bahta rahta hai teri yaad ka dariya mujh mein
Dub to jaun teri mad-bhari aaankhon mein magar
laDkhaDane ka nahin hausla itna mujh mein
jab se ek shaKHs ne dekha hai mohabbat se 'baqa'
phailta jata hai har roz ujala mujh mein
Ghazal
Ab nahin dard chhupane ka qarina mujh mein
Baqa Baluch