ab nae ruKH se haqaeq ko ulaT kar dekho
jin pe chalte rahe un rahon se kaT kar dekho
ek aawaz bulati hai palaT kar dekho
dur tak koi nahin kitna bhi haT kar dekho
ye jo aawazen hain patthar ka bana deti hain
ghar se nikle ho to pichhe na palaT kar dekho
dil mein chingari kisi dukh ki dabi ho shayad
dekho is rakh ki parton ko ulaT kar dekho
kaun aaega kise fursat-e-gham-KHwari hai
aaj KHud apni hi banhon mein simaT kar dekho
chhoD jate hain makin apne badan ki KHushbu
ghar ki diwaron se ek bar lipaT kar dekho
kuchh tapish aur siwa hoti hai dil ki 'tariq'
ab to jis yaad ke pahlu mein simaT kar dekho
Ghazal
Ab nae ruKH se haqaeq ko ulaT kar dekho
Tariq Butt