ab na wo hum hain na wo pyar ki surat teri
na wo haalat hai hamari na wo haalat teri
dekh li dekh li bas hum ne tabiat teri
ho na dushman ke bhi dushman ko mohabbat teri
kya gharaz us se ho dushman pe inayat teri
hum to jite hain faqat dekh ke surat teri
ye bhi aa jati hai jab dekh li surat teri
sach hai ulfat nahin munh dekhe ki ulfat teri
tark-e-ulfat hi nahin qat-e-talluq bhi kya
phir bhi jati nahin zalim ye mohabbat teri
daKHl hoga na kabhi jis mein gunahgaron ka
hogi ai waiz-e-kaj-fahm wo jannat teri
chahne walon ka hangama kisi din hoga
ek din tujh ko rulaega ye surat teri
ye taDap ye teri fariyaad ye hasrat ai dil
kash aa jae meri jaan pe aafat teri
pahle kuchh aur hi tewar the ye tewar tere
pahle kuchh aur hi surat thi ye surat teri
dekhne walon ki ek bhiD raha karti thi
uf re wo husn tera hae wo surat teri
us pe hairat hai baDi mujh ko tajjub hai bahut
ghair phir ghair ke dil mein ho mohabbat teri
aadmi ki tujhe pahchan nahin ai zalim
hum to karte hain tere munh pe shikayat teri
tujh ko dilbar jo banaya to banaya hum ne
warna malum hai duniya ko haqiqat teri
jaan de di na agar main ne to kuchh bhi na kiya
aap kahte hi rahen kya hai haqiqat teri
chain aata hi na tha tujh ko hasinon ke baghair
ai safi' kya hui agli wo tabiat teri

Ghazal
Ab na wo hum hain na wo pyar ki surat teri
Safi Aurangabadi