اردو हिंदी
Ab na hasrat na pas hai dil mein | Shaahi Shayari
ab na hasrat na pas hai dil mein

Ghazal

Ab na hasrat na pas hai dil mein

Nadir Kakorvi

;

ab na hasrat na pas hai dil mein
koi bhi is makan mein na raha

kya shikayat jo kaT gae gahak
mal hi jab dukan mein na raha

mar ke rahna paDa ab us mein aah
jite-ji jis makan mein na raha

'nadir' afsos qadar-dan-e-suKHan
ek hindostan mein na raha