ab mulaqat kahan shishe se paimane se
fatiha paDh ke chale aae hain mai-KHane se
kya karen jam-o-subu hath pakaD lete hain
ji to kahta hai ki uTh jaiye mai-KHane se
phunk kar hum ne har ek gam pe rakkha hai qadam
aasman phir bhi na baz aaya sitam Dhane se
hum ko jab aap bulate hain chale aate hain
aap bhi to kabhi aa jaiye bulwane se
are o wada-faramosh pahaD aisi raat
kya kahun kaise kaTi tere nahin aane se
yaad rakh! waqt ke andaz nahin badlenge
are allah ke bande tere ghabrane se
sar chaDhaen kabhi aankhon se lagaen saqi
tere hathon ki chhalak jae jo paimane se
KHali rakkhi hui botal ye pata deti hai
ki abhi uTh ke gaya hai koi mai-KHane se
aaegi hashr ki naseh ki samajh mein kya KHak
jab samajhdar samajhte nahin samjhane se
barq ke Dar se kaleje se lagae hue hai
chaar tinke jo uTha lai hai virane se
dil zara bhi na pasija but-e-kafir tera
kaba allah ka ghar ban gaya but-KHane se
shama bechaari jo ek munis-e-tanhai thi
bujh gai wo bhi sar-e-sham hawa aane se
ghair kahe ko sunenge tera dukhDa 'bismil'
un ko fursat kahan hai apni ghazal gane se
Ghazal
Ab mulaqat kahan shishe se paimane se
Bismil Azimabadi