اردو हिंदी
Ab mujhko ruKHsat hona hai kuchh mera haar-singhaar karo | Shaahi Shayari
ab mujhko ruKHsat hona hai kuchh mera haar-singhaar karo

Ghazal

Ab mujhko ruKHsat hona hai kuchh mera haar-singhaar karo

Shabnam Shakeel

;

ab mujh ko ruKHsat hona hai kuchh mera haar-singhaar karo
kyun der lagati ho sakhiyo jaldi se mujhe tayyar karo

ro ro kar aankhen lal huin tum kyun sakhiyo behaal huin
ab Doli uThne wali hai lo aao mujh ko pyar karo

ye kaisa anokha joDa hai jo aaj mujhe pahnaya hai
main huron jaisi dulhan bani ab uTTho aur didar karo

ek haar hai surKH gulabon ka ek chadar surKH gulabon ki
aur kitna rup chaDha mujh par is baat ka to iqrar karo

ek bar yahan se jaungi main lauT ke phir kab aaungi
tum aah-o-zari lakh karo tum minnat sau sau bar karo

han yaad aaya is basti mein kuchh diye jalae the main ne
tum un ko bujhne mat dena bas ye wada ek bar karo