ab mujh ko kya KHabar wo yahan hai bhi ya nahin
har ek se shahr mein to mera rabta nahin
jannat bana to sakte hain is kaenat ko
lekin meri tarah se koi sochta nahin
jis rahguzar pe phul saje hain mere liye
ai pa-e-shauq ab wo mera rasta nahin
zahir se mutmain hai mere aur ek naqab
chehre pe jo paDa hai use dekhta nahin
jab tak thi dil mein sans bhi KHushbu bani rahi
honTon pe aa ke baat mein ab kuchh raha nahin
ek waqt tha ki rah guzarna muhaal tha
ab muD ke raste mein koi dekhta nahin
ab sham ho gai hai mujhe sona chahiye
suraj tere KHayal ka garche Dhala nahin
Ghazal
Ab mujhko kya KHabar wo yahan hai bhi ya nahin
Shabnam Shakeel