اردو हिंदी
Ab mujhko gale lagao sahib | Shaahi Shayari
ab mujhko gale lagao sahib

Ghazal

Ab mujhko gale lagao sahib

Mushafi Ghulam Hamdani

;

ab mujh ko gale lagao sahib
yak shab kahin tum bhi aao sahib

ruTha hun jo tum se main to mujh ko
aa kar ke tumhin manao sahib

baiThe raho mere samne tum
az bahr-e-KHuda na jao sahib

kuchh KHub nahin ye kaj-adai
har lahza na bhaun chaDhao sahib

rakhte nahin parda ghair se tum
jhuTi qasmen na khao sahib

dar-guzre hum aisi zindagi se
itna bhi na ji jalao sahib

ya ghair ki chah bhul jao
ya dil se hamein bhulao sahib

tum waqt ke apne ho masiha
murde ke tain jilao sahib

miyan-'mushafi' yar aa milega
itna bhi na tilmilao sahib