اردو हिंदी
Ab mohabbat na fasana na fusun hai yun hai | Shaahi Shayari
ab mohabbat na fasana na fusun hai yun hai

Ghazal

Ab mohabbat na fasana na fusun hai yun hai

Abbas Tabish

;

ab mohabbat na fasana na fusun hai yun hai
sahab-e-dasht to kahta tha ki yun hai yun hai

pas-e-girya koi deta hai tasalli tujh ko
ye jo ai dil tujhe be-wajh sukun hai yun hai

'mir'-sahib hi nahin us se pare baiThte hain
jo bhi shaista-e-adab-e-junun hai yun hai

zindagi-bhar mein koi sher to aisa hota
main bhi kahta jo mera zaKHm-e-darun hai yun hai

nist mein hast ka ehsas dilati hui aankh
shor karti hai ki hai kun-fayakun hai yun hai