ab maut se bachae kahan zist kya majal
phaile hue hain jism mein nili ragon ke jal
yun to nahin ki umr ganwai hai dhup mein
phabti si kas rahe hain ye sar ke safed baal
mohlat kise mile hai yahan lab-kushai ki
aankhon mein nach nach ke thakte rahe sawal
malbus to badan se kabhi ka utar chuka
tab lutf aae jism se khinch jae aur khaal
'sarshaar' aao dekhen to ye kaun shaKHs hai
ek hath mein kitab hai ek hath mein kudal
Ghazal
Ab maut se bachae kahan zist kya majal
Sarshaar buland Shahri