ab marna hai apne KHushi hai jine se be-zari hai
ishq mein aise halke hue hain jaan badan ko bhaari hai
shikwe ki charcha hoti hai chupke hi rahna behtar hai
dil ko jalana dil-sozi hai ye gham-e-duniya gham-KHwari hai
kis ka wada kaun aata hai chain se sota hoga wo
raat bahut aai hai ai dil ab nahaq bedari hai
daw tha apna jab wo hum se chaupaD sikhne aate the
ab kuchh chaal nahin ban aati jit ke bazi haari hai
luTte dekha ghash mein dekha marte bhi dekha us ne mujhe
itna na puchha kaun hai ye is shaKHs ko kya bimari hai
hijr sitam hai kulfat-o-gham hai kis se kahiye haal apna
din ko paDe rahna munh Dhanke raat ko girya-o-zari hai
uTTho kapDe badlo chalo kya baiThe ho 'bahr' udas udas
sair ke din hain phul khile hain josh pe fasl-e-bahaari hai
Ghazal
Ab marna hai apne KHushi hai jine se be-zari hai
Imdad Ali Bahr