اردو हिंदी
Ab main hun aap ek tamasha bana hua | Shaahi Shayari
ab main hun aap ek tamasha bana hua

Ghazal

Ab main hun aap ek tamasha bana hua

Jagan Nath Azad

;

ab main hun aap ek tamasha bana hua
guzra ye kaun meri taraf dekhta hua

kaif-e-gham-e-firaq ki lazzat jise mili
hasil use visal nahin hai to kya hua

KHashak-e-zindagi to mila us ke sath sath
tera karam ki dard ka shoala ata hua

dar tak tere KHudi ne na aane diya jise
aankhon se ashk ban ke wo sajda ada hua

shirini-e-hayat ki lazzat mein hai kami
kuchh is mein zahr-e-gham na agar ho mila hua

kuchh kam nahin hon lazzat-e-furqat se faiz-yab
hasil agar visal nahin hai to kya hua

ab is maqam par hai meri zindagi ki hai
har dost ek naseh-e-mushfiq bana hua

ye bhi zara KHayal rahe aazim-e-haram
raste mein but-kade ka bhi dar hai khula hua

wo qadd-e-naz aur wo chehre ka husn o rang
jaise ho phul shaKH pe koi khila hua

pesh-e-nazar thi manzil-e-jaanan ki justuju
aur phir raha hun apna pata DhunDta hua

kah kar tamam raat ghazal subh ke qarib
'azad' misl-e-sham-e-sahar hun bujha hua