ab kya milen hasinon se hum gosha-gir hain
ghaarat-garon ne luT liya hai faqir hain
KHaliq bachae zohra-jabinon ki chah se
sunte hain do farishte abhi tak asir hain
chaar aankhen hum ne ki to hain ghussa na kijiye
sail nahin faqir nahin rahgir hain
dar par tumhaare baiThe hain sar par hai aaftab
hum KHaksar malik-e-taj-o-sarir hain
wo bhi to roen ai asar-e-girya ek din
jin ki nigah mein mere aansu haqir hain
kah denge saf saf wo dekhen to aaina
ye mang hai lakir hum is par faqir hain
nazron se kya giraenge 'tahir' adu mujhe
fazl-e-KHuda se dast-e-KHuda dast-gir hain
Ghazal
Ab kya milen hasinon se hum gosha-gir hain
Meer Tahir Ali Tahir Farrukhabadi