ab kya gila ki ruh ko khilne nahin diya
us ne to mujh ko KHak mein milne nahin diya
koshish hawa ne raat bhar apni si ki magar
zanjir-e-dar ko main ne hi hilne nahin diya
ek bar us se baat to main kar ke dekh lun
itna bhi aasra mujhe dil ne nahin diya
karta wo apne aap ko kya mujh pe munkashif
us ne to mujh se bhi mujhe milne nahin diya
qaem nahin raha faqat apni hi baat par
apni jagah se mujh ko bhi milne nahin diya
aaKHir koi subut to ho be-gunahi ka
daman ko is KHayal ne silne nahin diya
'rashid' hawa se mang ke kyun sharmsar ho
jo tum ko aab-o-atish-o-gil ne nahin diya
Ghazal
Ab kya gila ki ruh ko khilne nahin diya
Rashid Mufti