اردو हिंदी
Ab kya gila karen ki muqaddar mein kuchh na tha | Shaahi Shayari
ab kya gila karen ki muqaddar mein kuchh na tha

Ghazal

Ab kya gila karen ki muqaddar mein kuchh na tha

Saif Zulfi

;

ab kya gila karen ki muqaddar mein kuchh na tha
hum ghota-zan hue to samundar mein kuchh na tha

diwana kar gai teri taswir ki kashish
chuma jo pas ja ke to paikar mein kuchh na tha

apne lahu ki aag hamein chaTti rahi
apne badan ka zahr tha saghar mein kuchh na tha

dekha to sab hi lal-o-jawahar lage mujhe
parkha jo doston ko to aksar mein kuchh na tha

sab rang sail-e-tirgi-e-shab se Dhal gae
sab raushni ke aks the manzar mein kuchh na tha