اردو हिंदी
Ab koi tera misl nahin naz-o-ada mein | Shaahi Shayari
ab koi tera misl nahin naz-o-ada mein

Ghazal

Ab koi tera misl nahin naz-o-ada mein

Parveen Umm-e-Mushtaq

;

ab koi tera misl nahin naz-o-ada mein
andaz mein shoKHi mein shararat mein haya mein

maghrur se sarkash mutawaze pe hun qurban
miTTi mein to miTTi hun hawa hun main hawa mein

kya KHub wo KHud karte hain yun apni sataish
aafat hun jalane mein qayamat hun jafa mein

ghairat nahin aati tumhein har baat mein baiThe
ulfat mein mohabbat mein murawwat mein wafa mein

jab ho dam-e-aKHir to bacha lene ki taqat
phir KHak-e-shifa mein na kahin aab-e-baqa mein

wo chahe to sab kuchh hai na chahe to nahin kuchh
tawiz mein ganDe mein fatile mein dua mein

ek adna sa parda hai ek adna sa tafawut
maKHluq mein mabud mein bande mein KHuda mein

surKHi ke sabab KHub khila hai gul-e-lala
aariz mein labon mein kaf-e-dast o kaf-e-pa mein

ushshaq ki KHun-rezi se kya faeda zalim
mashghul ho lakhe mein to masruf hina mein

aashiq to hamesha hai mohabbat ki badaulat
ilzam mein taqsir mein isyan mein KHata mein

hum bhi the kabhi KHubi-e-taqdir se 'parwin'
arfat mein muzdalfa mein makka mein mina mein