ab koi silsila nahin baqi
doston mein wafa nahin baqi
zindagi tujh pe rae kya du main
ab koi tabsira nahin baqi
waqt-be-waqt kyun baraste hain
baadalon mein haya nahin baqi
zindagi tujh se aur laDne ka
mujh mein ab hausla nahin baqi
ranj, uljhan, ghuTan, pareshani
rog koi raha nahin baqi
apni manzil ko chhu liya main ne
koi maqsad raha nahin baqi
mere dushman ke qalb mein fil-waqt
jang ka hausla nahin baqi
jit rakkha hai main ne apne ko
mujh mein koi ana nahin baqi
ashk aankhon mein aa gae hain 'siya'
zabt dil par zara nahin baqi
Ghazal
Ab koi silsila nahin baqi
Siya sachdev