ab koi hujjat nahin iqrar ko inkar se
ishq ne pali faraghat husn ki sarkar se
is ada-e-be-niyazi par hai hairan aankh bhi
aa gae dil mein magar puchha na pahre-dar se
gard-aluda thin aankhen intizar-e-dost mein
dhul rahi hain wasl mein wo aansuon ki dhaar se
wapsi hogi wahin par is ka andaza na tha
nachta nanga chala tha aadmi jab ghaar se
lafz mein jadu nahin hai ek haqiqat hai janab
hum hifazat kar rahe hain kaghzi talwar se
nikhat-o-shadabi-e-gul hai chaman ka imtiyaz
aadmi pahchana jata hai faqat kirdar se
mujh se us ki bad-gumani garche poshida nahin
baat banti hai 'asar' ki bahami guftar se

Ghazal
Ab koi hujjat nahin iqrar ko inkar se
Marghoob Asar Fatmi