ab koi gham hi nahin hai jo rulae mujh ko
aisa mausam hi nahin hai jo rulae mujh ko
zaKHm mein dard nahin hai jo uThae Tisen
aankh mein nam hi nahin hai jo rulae mujh ko
chand naraaz nahin hai na sitare hain KHafa
raat barham hi nahin hai jo rulae mujh ko
mujh mein sab kuchh hi mukammal hai to kis baat ka dukh
kuchh kahin kam hi nahin hai jo rulae mujh ko
tere honTon se mere zaKHm chahak uTThenge
ye wo marham hi nahin hai jo rulae mujh ko
ai mere KHwab tu TuTe main nahin TuTunga
tujh mein wo dam hi nahin hai jo rulae mujh ko
tere jaane pe bhi afsurda nahin hai koi
tera matam hi nahin hai jo rulae mujh ko
Ghazal
Ab koi gham hi nahin hai jo rulae mujhko
Ali Imran