ab koi aur musibat to na pali jae
us ki yaadon se bhi ab jaan chhuDa li jae
wo bhi mere liye kuchh sochta hai sochta hun
kaise dil se mere ye KHam-KHayali jae
zist be-rabt hai par hai to KHuda ki neamat
jis tarah se bhi ye nibhti hai nibha li jae
aise bhi dost hain kuchh jin ka yahi maqsad hai
war kya un ki koi baat na KHali jae
yaad jis ki hamein sone nahin deti aksar
us sitamgar ki bhi ab nind chura li jae
us ke dar se main yahi soch ke lauT aaya hun
'zeb' ab ke bhi na dastak meri KHali jae
Ghazal
Ab koi aur musibat to na pali jae
Aurangzeb