ab koi aarzu nahin zauq-e-payam ke siwa
ab koi justuju nahin shauq-e-salam ke siwa
koi sharik-e-gham nahin ab teri yaad ke baghair
koi anis-e-dil nahin ab tere nam ke siwa
teri nigah-e-mast se mujh pe ye raaz khul gaya
aur bhi gardishen hain kuchh gardish-e-jam ke siwa
KHwahish-e-arzu sahi hasil-e-zindagi magar
hasil-e-arzu hai kya soz-e-mudam ke siwa
aah koi na kar saka chaara-e-talKHi-e-firaq
nala-e-subh ke baghair giriya-e-sham ke siwa
rang-e-bahaar par na bhul bu-e-chaman se dar-guzar
ye bhi hain KHush-numa fareb dana-o-dam ke siwa
mar ke hayat-e-jawidan ishq ko mil gai 'hafiz'
ji ke hawas ko kya mila marg-e-dawam ke siwa
Ghazal
Ab koi aarzu nahin zauq-e-payam ke siwa
Hafeez Hoshiarpuri