ab kisi ko kya bataen kis qadar nadan the
hum wahin kashti ko le aae jahan tufan the
kuchh taDapti aarzuen chand be-mani sawal
karwan mein sab ke sar par bas yahi saman the
hum ne is duniya ke mai-KHane mein ye dekha fareb
bas wahi pyase rahe jo sahib-e-iman the
zalzalon par aa gaya ilzam achchha hi hua
warna is taKHrib ke pahle se bhi imkan the
un ghamon ne dil mein sadiyon ke wasile kar liye
jo faqat do-chaar din ke waste mehman the
bas yahi sach hai ki hum ab un ki mahkumi mein hain
jo 'nafas' apni haweli mein kabhi darban the
Ghazal
Ab kisi ko kya bataen kis qadar nadan the
Nafas Ambalvi