ab kisi ko dekh kar ek samt muD jate hain hum
jis se milna chahte hain us se katraate hain hum
log tujh ko bewafa kahte hain in se kya gila
rang-e-duniya dekh kar KHamosh ho jate hain hum
ye nami aankhon ki sine ki jalan jati nahin
teri mahfil mein bhi tanhai se ghabraate hain hum
muD ke dekha tha to sara shahar patthar ho gaya
lauT kar aae to har patthar se Takraate hain hum
kyun zamane bhar ki KHushiyon se hai koi gham aziz
aaine ke pas aao tum ko samjhate hain hum

Ghazal
Ab kisi ko dekh kar ek samt muD jate hain hum
Mushaf Iqbal Tausifi