اردو हिंदी
Ab kisi andhe safar ke liye tayyar hua chahta hai | Shaahi Shayari
ab kisi andhe safar ke liye tayyar hua chahta hai

Ghazal

Ab kisi andhe safar ke liye tayyar hua chahta hai

Anjum Irfani

;

ab kisi andhe safar ke liye tayyar hua chahta hai
ek zara der mein ruKHsat tera bimar hua chahta hai

aaKHiri qist bhi sanson ki chuka dega chukane wala
zindagi qarz se tere wo subuk-bar hua chahta hai

raaz-e-sar-basta samajhte rahe ab tak jise ahl-e-danish
munkashif aaj wahi raaz sar-e-dar hua chahta hai

dil-e-wahshi ke bahalne ka nahin ek bhi saman yahan
mahfil-e-zohd-e-mizajaan se ye bezar hua chahta hai

dekh leni thi tujhe sina-e-afat-zadagan ki saKHti
tera har tir-e-hadaf-kar hi bekar hua chahta hai

phailte shahron ke jangal mein ye ghaaron ki tarah tang makan
KHun mein wahshi-e-KHwabida bhi bedar hua chahta hai

dard-e-dil banTta aaya hai zamane ko jo ab tak 'anjum'
kuchh hua yun ki wahi dard se do-chaar hua chahta hai