اردو हिंदी
Ab kise yara hai zabt-e-nala-o-faryaad ka | Shaahi Shayari
ab kise yara hai zabt-e-nala-o-faryaad ka

Ghazal

Ab kise yara hai zabt-e-nala-o-faryaad ka

Shola Kararvi

;

ab kise yara hai zabt-e-nala-o-faryaad ka
bhar gaya hai gham se paimana dil-e-nashad ka

jal raha tha aashiyana bas na tha karte hi kya
dur se dekha kiye hum ye sitam sayyaad ka

qalb-e-sozan miT ke bhi hangama-ara hi raha
ban gaya bijli har ek zarra dil-e-nashad ka

mausam-e-gul ki hawa aai na jis ko saz-war
dil hai wo pazhmurda ghuncha aalam-e-ijad ka

ya to ab aaThon-pahar pesh-e-nazar ho ya kabhi
dil dahal jata tha sun kar nam bhi sayyaad ka

aaya qismat se usi din mujh ko paigham-e-ajal
roz-e-aKHir tha jo meri qaid ki miad ka

dekh ibrat ki nazar se gham ke daghon ki bahaar
safa-e-dil hai muraqqa gulshan-e-ijad ka

dekhiye hota hai kyun kar aaj tai ye marhala
main idhar hun saKHt-jaan KHanjar idhar faulad ka

sahn-e-gulshan se qafas mein aa gaya wo musht-e-par
ho gaya gulzar jis ke dam se ghar sayyaad ka

sang-e-dil rote hain 'shoala' sun ke fariyaaden meri
mom ho jata hai aahon se jigar faulad ka